Friday, September 14, 2007

Madhushala

The beauty of this poem is in the way poet has captured each and every element of life by drawing synergy with liquor. He has mentioned life as a journey to madhushala. His description of bringing out illusionary state called "Life" is something which strikes me everytime i read it. I like the fact that this poem has so much hidden in it that it unfolds with every reading. And as far as i know, the poet had never drunk ever in his life. I find his imagination amazingly beautiful.

Madhushaala

madira meiN jaane ko ghar se chaltaa hai peenewaala
kis path se jaaooN asmanjas meiN hai wo bhola bhaala
alag alag pathu batalaathi sab paR maiN ye bataata hooN
raah pakaD tu ek chalaa-chal paa jaayega madhushaala

sun kal-kal chal-chal madhu-ghaT se girti pyalOn meiN haala
sun run Jhun-Jhun chal witran karti madhusa ki baala
bas aa pahunche door nahiN kuch chaar kadam aur chalna hai
chahak rahe sun peene waale mehak rahi le madhushaala


naal sura kee dhaar lapaT see keh na dena ise jwaaLa
madira hai math isko keh dena uRR ka chaala
dard nasha hai is madira ka wigat smritiyaN saaqi haiN
peeDa meiN anand jise ho aaye meri madhushaala

dharm-grandh sab jala chuki hai jiske antar kee jwaala
mandir masjid girje sab ko toD chuka jo matwaala
panDit momin paadriyoN ke fandoN ko jo kaat chuka
kar sakti hai aaj usee ka swaagat meri madhushaala


laalayeet adhRoN se jisne haaye nahiN choomi haala
harshit kampit kar se jisne haay madhu ka chooaa pyaala
haath pakaD kar lajjit saaqi ko paas nahiN jisne kheencha
wyarth sukha Daali jeewan kee usne mahdumay madhushaala


bane pujaari premi saaqi ganga jal paawan haala
rahe ferta awirat gati se madhu ke pyaaloN kee maala
aur leeye jaa aur peeye jaa isi mantr ka jaap keeye jaa
maiN shiv ki pratima ban baiThooN mandir ho ye madhushaala

ek baras meiN ek baar hee jagti holi kee jwaala
ek baar hee lagti baaji jalti deepoN kee maala
duniya waaloN kintu kisi din aa madiraalay meiN dekho
din meiN holi raat diwaali roz manaati madhushaala

adharon par ho koee bhi ras jiwha par lagti haalaa
han jag ho koee haathon mein lagta rakkha hae pyaalaa
har surat saaqi ki surat mein parivartit ho jaati
aankhon ke aage ho kuchh bhi aankhon mein hae Madhushaalaa.


sumukhi tumhara sundar mukh hi mujh ko kanchan kaa pyaalaa
chhalak rahi hai jisme maNik roop madhur maadak haalaa
maiN hi saaqi banta maiN hi peene waala banta hoon
jahan kahin mil baithe hum tum wahiN gaee ho madhushaala

do din hee madhu muJhe pilaa kar oob uthi saaqi baalaa
bhar kar ab khiska detee hai woh mere aage pyaalaa
naaz-o-adaa andaazon se ab haaye pilaanaa door hua
ab to kar detee hai kewal farz-adaaee madhushaalaa

choTe se jeewaN meiN kitna pyaar karooN peelooN haala
aane ke hee saath jagat meiN kehlaaya jaane-waala
swaagat ke hee saath wida ki hothi dekhi tayyaari
band lagi hone khulte hee meri jeewan madhushaala


saant saki ho ab taq saaqi peekar kis uRR kee jwaala
aur aur ki raTan lagaata jaata har peene-waala
kitni iKsha ek har jaaNe-waala yahaN choD jaata
kitne aRmaanoN kee bankar qaBr khaDi hai madhushaala

yam aayega saaqi bankar saath liye kaali haala
pee na hosh meiN phir aayega sura wisudh yeh matwaala
yeh antim behoshi antim saaqi antim pyaala hai
pathiK pyaar se peena isko fir na milegee madhushaala


girti jaati hai din-pratidin pRanayani pRaanoN kee haala
maGn hua jaata din-pratidin deen subhge mera tan pyaala
rooth raha hai muJhse roop si din-din yauwan ka saaqi
sookh rahi hai din-din sundari meri jeewan madhushaala

Dhalak rahee ho tan ke ghaT se sangini jab jeewanhaala
paaTr garal ka le ab antiM saaqi ho aanewaala
haath paras bhoole pyaale ka swaad sura jiWha bhoole
kaanoN meiN tum kehti rehna madhuKaNN pyaala madhushaala


mere aDharoN par ho na antiM wastu na tulsi-jal pyaala
mere JiWha par ho antiM wastu na ganga-jal haala
mere shaV ke peeche chalne-waaloN yaad ise rakhna
ram-naam hai satya na kehna kehna sachchi madhushaala


mere shaV par wah roYe ho jiske aaNsoo meiN haala
aaH bhare wah jo ho surbhit madeera peekar matwaala
de muJhko wo kaandha jinke pad-mad dag-mag hoNte ho
aur jalooN uss Thaur jahaN par kabhi rahee ho madhushaala

aur chitha par jaaye unDela paatR na ghRith ka par pyaala
GhanT bandhe angoor latha meiN madhya na jal ho par haala
praan-priye yadi SHraadH karO tum mera to aise karna
peene-waaloN ko bulwa kar khulwa dena madhushaala


naam agar pooche koi to kehna bas peene-waala
kaam garal na aur dhaalna sab ke madiroN ka pyaala
jaati priYe pooche yadi koi keh dena deewanoN kee
dharM batana pyaaloN ki le maala japna madhushaala

pitR paKsh meiN putR uThana araGYan na kar meiN par pyaala
baiTh kahiN par jaana ganga sagar meiN bharkar haala
kisi jagaH kee miTTi bheege tRipti muJhe mil jaaYegee
darpan arpan karna muJhko paDh paDh karke "madhushaala"

No comments: